Silent Storm











{April 14, 2008}   Mera Shahar
barishon ke is shahar me yad ati dhoop hai
khubsurat tha bada,vo surya ka jo roop hai

sham ki un andhiyon me,daud ke parde girana
garmiyon me gilhariyon ko room me apne chhupana

mehrangarh ki burj pe vo baith ke dekhna shahar ko
ya maa ke sath bitana us dhalti tapti dopahar ko

holi me rangon me bheenge doston sang khilkhilana
ya diwali ke diyon ke sang alpana ke rang sajana

tution pe jan bujh ke samay se pahle hi ana
tyre puncture karke yun sare ladkon ko satana

window shopping ke liye nai sadak ke vo chakkar
psychology practical ke naam pe hui sari bakar

chhaya ki bachkani baton ki mithi si ho vo khushboo
ya bachchon sang ankhmichauni ka vo jadu

library me ghus ke hi anju ka vo batiyana
yah 1 baje ki class se sabka chori se vo bhag ana

school ki boundary wall pe baith ke ladkon ki khilli udana
har wednusday bunk maar ke vo ganeshmandir jana

barishon ki halki si phuhar me bhigke hi ghar anna
ate hi maa ki vo chinta bhari si daant khana

chinu se har sham ladna,amu ko aise satana
par jo koi kah de kuchh to,phir sabka ek ho jana

papa ke plate se hi hamesha pahla kaur khana
kisi ke bhi gudiya bulane pe jara sa ruth jana

ye saab ghadiyan aaj bhi jodhpur me ruk gai hain
jab kabhi bhi yaad ayein,palkein meri jhuk gai hain

lakhon ki is bheed me jab aaj main koi nahi hun
shahar mera phir se kahta laut aa,main yahin hun!

meri dhoop me hi tere rishton ki garmas hai
tu meri hai iska mujhko aaj bhi ahsas hai



{April 2, 2008}   JEEVAN MRITYU

Sapno ka dhundhla kohra

chhant kar hi rah dikhata hai,

mrityu hans alingan karti

jab jeevan yun thukrata hai.

par phir bhi sab jeena chahein

kyun marne se daar lagta hai?

jeevan chhanbhangur hai phir bhi

ye apne paas bulata hai.

Katra katra jeene se to

achcha hai maar hi jana,

kyun aisa kahne vala bhi

par mrityu se katrata hai?

Shaswat hai keval mrityu

jeevan bas palkon ka sapna,

par ye sapna hi aage badh

ummeedon ko apnata hai.

mrityu sthirta lati hai

jeevan asthir kar jata hai

par mrityu manthar gativihin

jeevan chalta hi jata hai!!!!



{March 26, 2008}   Ankhein

sab kahte hain,

bahot chup rahte ho tum

kabhi kuchh kahte hi nahi!

par vo nahi jante

kitne vachal ho tum,

kitna kuchh kah jate ho

lekin koi sun hi nahi pata

ankahe shabd,

utar ate hain tumhari ankhon me

ek bhasha ban kar

aur jab apni inhi ankhon se bolte ho tum

sunti hun main mantramugdh si

lagta hai tum tum nahi,manu ho

aur main tumhari shraddha

ek divya purush ho tum

aur main tumhari sadhika.

prabhamandal alokit ho utha hai

tumhare charo taraf

jo dheere dheere mujhe bhi

khud me samet raha hai

maine dekha hai inhi ankhon me

dher sara vishwas,

jo mujhe shakti deta hai,

asimit sneh,

mera sambal hai jo.

kamp uthti hun main ye soch kar

kya hota agar

ye ankhein nahi hoti!!!!!!



et cetera